Woh Nahin Mila To malal kya | Sd Urdu Ghazal | Urdu Poetry

Woh nahin mila to malal kya, jo guzar gaya so guzar gaya
Usey yad karake na dil dukha, jo guzar gaya so guzar gaya

Na gila kiya na khafa huye, yoon hi raste mein juda huye
Na too bevafa na main bevafa, jo guzar gaya so guzar gaya

Tujhe aetebar-o-yaqeen nahin, nahin duniya itni buri nahin
Na malal kar mere sath aa, jo guzar gaya so guzar gaya

Woh wafaen thin ke jafaen thin, ye na soch kiski khataen thin
Woh tera hai usko gale laga, jo guzar gaya so guzar gaya

Comments