Posts

Showing posts from June, 2022

Woh Nahin Mila To malal kya | Sd Urdu Ghazal | Urdu Poetry

Image
Woh nahin mila to malal kya, jo guzar gaya so guzar gaya Usey yad karake na dil dukha, jo guzar gaya so guzar gaya Na gila kiya na khafa huye, yoon hi raste mein juda huye Na too bevafa na main bevafa, jo guzar gaya so guzar gaya Tujhe aetebar-o-yaqeen nahin, nahin duniya itni buri nahin Na malal kar mere sath aa, jo guzar gaya so guzar gaya Woh wafaen thin ke jafaen thin, ye na soch kiski khataen thin Woh tera hai usko gale laga, jo guzar gaya so guzar gaya